★ Ahmad Faraz Shayari in Hindi and English ★
FAMOUS SHAYARI : Welcome to our site https://famoushayarii2022.blogspot.com/ . This post is dedicated to each and every person who is close to your heart. Share this beautiful shayari with some beautiful people and tell them what you feel and how special they are for you.
This post contains shayari based on topics like Ahmed Faraz love shayari, Ahmed Faraz self love shayari, Ahmed Faraz sad shayari, Ahmed Faraz lovely shayari,Ahmed Faraz emotional shayari, Ahmed Faraz heartbreaking shayari and many more.
Syed Ahmad Shah (Urdu: سید احمد شاہ), better known by his pen name Ahmed Faraz, (Urdu: احمد فراز 12 January 1931 – 25 August 2008)[1][2][3] was a Pakistani Urdu poet, scriptwriter and became the founding Director General (later Chairman) of Pakistan Academy of Letters.[4] He wrote his poetry under the pseudonym Faraz.[a] He criticised military rule and coup d'état in the country and was displaced by the military dictators.
ख़्वाब मरते नहीं
ख़्वाब मरते नहीं
ख़्वाब दिल हैं न आँखें न साँसें के जो
रेज़ा-रेज़ा* हुए तो बिखर जायेंगे
जिस्म की मौत से ये भी मर जायेंगे
ख़्वाब मरते नहीं
Ahmad Faraz Shayari in Hindi Ahmad Faraz Shayari in Hindi
ख़्वाब तो रौशनी हैं, नवा* हैं, हवा हैं
जो काले पहाड़ों से रुकते नहीं
ज़ुल्म के दोज़ख़ों* से भी फुँकते नहीं
रौशनी और नवा और हवा के अलम
मक़्तलों* में पहुँच कर भी झुकते नहीं
ख़्वाब तो हर्फ़* हैं
ख़्वाब तो नूर हैं
ख़्वाब सुकरात हैं
ख़्वाब मंसूर हैं
[ रेज़ा-रेज़ा = टुकड़े टुकड़े
नवा = गीत, आवाज़, शब्द
अलम = पताकाएँ
दोजख = नर्क
मक़्तल = वधस्थल
हर्फ़ = अक्षर, लिखावट]
Khwaab marte nahin
Khwaab dil hain na aankhein na saansein ke jo
Rezaa-rezaa hue to bikhar jayein ge
Jism ki maut se yeh bhi mar jayein ge
Khwaab marte nahin
Khwaab to roshni hain, navaa hain, hawa hain
Jo kaale paharon se rukte nahin
Julm ke dozakhon se bhi funkte nahin
Roshni aur navaa aur hawa ka alam
Maqtalon mein pohanch kar bhi jhukte nahin
Khwaab to harf hain
Khwaab to noor hain
Khwaab to suqraat hein
Khwaab to mansoor hain
******************
★Ahmad Faraz Shayari in Hindi and English★
******************
safed chhaḌiyāñ [ सफ़ेद चिड़ियाँ ]
जनम का अँधा
जो सोच और सच के रास्तों पर
कभी कभी कोई ख़्वाब देखे
कभी कभी कोई ख़्वाब देखे
तो ख़्वाब में भी अज़ाब देखे
ये शाहराह ए हयात जिस पर
हज़ार है क़ाफ़िले रावण है
सभी की आँखे, हर एक का दिल
सभी की रास्ते, सभी की मंज़िल
इसी हुजूम ए कशन कशन मे
तमाम चहरो की दास्ताँ मे
ना नाम मेरा, ना ज़ात मेरी
मिरा क़ाबिल सफ़ेद चिड़ियाँ
janam kā andhā
jo soch aur sach ke rāstoñ par
kabhī kabhī koī ḳhvāb dekhe
to ḳhvāb meñ bhī azaab dekhe
ye shāhrāh-e-hayat jis par
hazār-hā qāfile ravāñ haiñ
sabhī kī āñkheñ ,har ek kā dil
sabhī ke raste, sabhī kī manzil
isī hujūm-e-kashāñ-kashāñ meñ
tamām chehroñ kī dāstāñ meñ
na naam merā, na zaat merī
mirā qabīla, safed chhaḌiyāñ
***************
ALSO READ: https://famoushayarii2022.blogspot.com/
मैं और तुम Main aur Tum
रोज़ा जब धूप पहाड़ो से उतरने लगे
कोई घटा हुआ बढ़ता हुआ बेकल साया
एक दीवार से कहता की मेरे साथ चलो
और ज़ंजीर ए रिफ़ाक़त से गुज़रें दीवार
अपने पिंडर के नशे मे सदा इस्तेदा
ख्वाहिश ऐ हमदम ऐ देरीना पे हंस देती थी
कौन दीवार किसी सायें के हम राह चली
कौन दीवार मगर हमेशा इस्तेदा रही
वक़्त ना दीवार का साथी है ना साँए का रकीफ़
और अब संग ओ गिल ओ किश्त के मलबे तले
उसी दीवार का पिंडर है रेज़ा रेज़ा
धूप निकली है मगर कहाँ है साया - साया
roz jab dhuup pahāḌoñ se utarne lagtī
koī ghaTtā huā baḌhtā huā bekal saaya
ek dīvār se kahtā ki mire saath chalo
aur zanjīr-e-rifāqat se gurezāñ dīvār
apne pindār ke nashshe meñ sadā istāda
ḳhvāhish-e-hamdam-e-derīna pe hañs detī thī
kaun dīvār kisī saayen ke ham-rāh chalī
kaun dīvār hamesha magar istāda rahī
vaqt dīvār kā sāthī hai na saayen kā rafīq
aur ab sañg-o-gil-o-ḳhisht ke malbe ke tale
usī dīvār kā pindār hai reza reza
dhuup niklī hai magar jaane kahāñ hai saaya
***************
STAY CONNECTED WITH YOUR LOVED ONES,
YES!!YOU GOT IT RIGHT, WITH US ;)
For Any Query and Suggestion, Please Contact us : famoushayari2022@gmail.com
preritjaingodha@gmail.com
0 Comments