- - "Galtiya" lyrics - Amandeep Singh ft Samuel | UnErase Poetry

Header ad

"Galtiya" lyrics - Amandeep Singh ft Samuel | UnErase Poetry

 

"Galtiya" lyrics - Amandeep Singh ft Samuel | UnErase Poetry 



'Yeh zindagi hai mere dost, yaha har koi phisalta hai...'

Credits:
Written & Performed by: Amandeep Singh
Music by: Samuel Pandya
Curated by: Simar Singh


Kitni kaali raat ho chali hai
Tum apne taare dhoondh laao
Aankho ko ab aaram karne do, dil ko dastak do,use jagao
Jeet Jeet kar thak gaye honge na ek kaam karo
Kuch apne haar ke kisse suano
To suno,
Pahla fal todta hu apne ped se kaacha hai
Bachpan hai sacccha hai
Aankhe band karo or apna cahra yaad karo
Un nanhe munhe sapno ko aaj fir se aabad karo
Jab palke bhaari hote hi neend aa jati thi
Hame sulane roj pariyan aati thi
Jab roti mai bhi cheeni aachi lagti thi
Tb duniyan ki saari baatie Hume saachi lagti thi

Us dopahar theek 3 bajte hi jab mummy papa so Gaye the
To mai aahista se dabe paav se unke kamre mai daakhil hua
Hook par tangi hui pant ki jeb mai haath daala 30 rupees nikalne ke liye
Vo Rahul ka cosco ball mujhse kho gaya tha
Agar ghar par maa ko btata na to vo bahut gussa krti
Bahar khelna band kar deti

Jab jeb se hath nikala to mere pas ek 100 ka note tha
Mai hairaan use dekhta raha, mujhe samjh ni aaya mujhe kya karna tha
Itne mai pitaji ne karwat li mai unhe dekha r unki aankhie khuli hui thi
Mai ghabra kar us kamre se bahar nikal gaya mene dusre kamre mai jakar Kai dafa Kai dafa us note ko apni jeb ki pocket mai rakhne ki koshish ki par vo mera hath chodne ko tayari hi nahi tha
Fir
Fir kya hua socho,
Miya baat choti si hai*2
Daal roti si hai
Kabhi kabhi insaan girgit ki tarah rang badalta hai
Ye zindagii hai mere dost yahan har koi fisalta hai
Socho
Kyuki tumhari kahani mai bhi esa kuch tha na
Churaya tumhe bhi to kabhi kuch tha na
Mujhe pata hai, tumhari soch ki gaharai mai kitna Pani hai
Ye kissa mera hai par ismai tumhari bhi kahani hai, isiliye socho
Tab tak, mai or ek phal todta hu
Hm, kadwa hai, lagta hai koi jhagda hai
Ye kissa jana mana hai, bas kuch saal purana hai, yaad hai kese raai ka pahad bana tha,
pahli baat par mai khada tha dusri par vo Ada tha
Mene chilla kar usse kahan ki Sun
Maan raha hu ki tu mera bahut aacha dost hai par is baar galti Teri to chup chap apni galti maan lo,
Dekh raha maan hi nahi Raha hai, ulta chor kotwal ko daatie
chup chap apni galti maan le,nahi to Aaj se apni dosti khatm
Usne nam aankhon se kaha, theek hai
Mene pucha, galati maan raha hai naa?
Nahi.....
Dosti Tod raha hu
Bada jigri yaar tha mera, sath uske ek sansaar tha mera
Ek choti si galti ko kitna bada kar diya apke ego ko dono ke bich Mai laakar khada kar diya
Ab naa hi usse mulakat hoti hai or naa hi malum hai uska haal, is baat ka roj hota hai malal
Kya, tumahara bhi hai esa koi haal, rutha hua hai koi bhichda yaar

Badi dilchip hai ye galtiyan
Tilsmani si, ek jhatke mai, poori duniya badal kar rakh deti hai, tumhe kahi ka nahi chodti, dekho to, badi buri hai ye galtiyan
Socho, to tum mai Jaan fukti hai galtiyan
Mahsoos karo to, tumhe jeena sikhati hai galtiyan
Kyu ki us rooz, mai us dusre kamre mai ek pal bhi Chen se nahi baith paya
Jab gadi par chaar bajne ko the or mummy papa uthne wale mai dabe paav unke kamre mai gaya or us jeb mai theek wahi par jaake vo 100 ka note waps rakh diya Jahan se vo mere hatho mai aaya tha, bina galti ki seekh adhori hi, sambhale ke liye girna jaruri hai

bina galti ki seekh adhori hi, sambhale ke liye girna jaruri hai
Or jitne duar aate hai zindagi mai, har daur ke liye thokar jaruri hai,bahroopiyan hai galtiyan, upr upr tumhe chalti hai par andar ke zindagi palti hai isiliye hone do galtiyaon ko
Galtiyan karna galat nahi, galtiyan se naa seekhna galat hai
Isiliye dhiyan se dekho, tumhari zindagi ke ped par bhi bahut se galtiyon ke fal Lage honge sabse upr
Ek phal bahut der se tumhara intezaar kar raha hai
Tumhe pukaar raha hai
Tum baar baar koshish karoge par akele us tak pahuch nahi paaoge, madad chiye hogi tumhe, zarurat padegi kisi jigri yaar ki
Kisi bichde yaar se milkar hi mukalmal ho payega vo phal, to ek kaam karo
Aaj ghar jaao, or ek dafa us roothe yaar se puch kar dekho, shyad vo maan jaaye


**-***********-*****-*-**-****

For Any Query or Suggestion, Please Contact us : famoushayari2022@gmail.com
                                                                                    


Post a Comment

0 Comments