- - KITNI DUNIYA DEKHI HAI | POETRY BY SHUBHAM SHYAM

Header ad

KITNI DUNIYA DEKHI HAI | POETRY BY SHUBHAM SHYAM

  

KITNI DUNIYA DEKHI HAI  | POETRY BY SHUBHAM SHYAM

FAMOUS SHAYARI : Welcome to our site https://famoushayarii2022.blogspot.com/ . This post is dedicated to each and every person who is close to your heart. Share this beautiful shayari with some beautiful people and tell them what you feel and how special they are for you.
This post contains shayari based on topics like Shubham Shyam love shayari, Shubham Shyam self love shayari , Shubham Shyam sad shayari, Shubham Shyam lovely shayari, Shubham Shyam emotional shayari, Shubham Shyam heartbreaking shayari and many more Shubham Shyam Shayari in Hindi and English.
We post daily on topics like Love shayari, Sad Shayari, Romantic Shayari, heartbreaking Shayari, Sad Love Shayari, Shayari, Famous shayari of some Famous People including my Original content.
So Stay Tuned For More Such Post.

Written and performed by Shubham Shyam




Zamane me mohabbat ke bohot se roo hain lekin,

Jo Nani me Nati me panapta hai mohabbat hai,

Vo chutti hote garmi ki, Nani ghr cale jana,

Jo Nati Jake Nani se lipatta hai mohabbat hai,

Guzarta waqt fir ye prem ek naye roop me dhalkar,

Ulajhta hai fir ye Nani se kai bahso me fir aksar,

Inhi bahso me fas Nani fasane khol deti hai,

Ikkatha hai zahan me vo khajane khol deti hai,

Vasi hi ek bahas chali thi Nani or mujhme ek din,

Ke kiski aankho ne duniya jada dekha hai?

Mane huskar bol diya rahne do nani,

Jeevan bhar jab gao dekha to kya dekha,
 
Nani ki aankhe itrai chup ho gai haskar,

Main ulajhkar soch rha hu isi bhao me faskar,

Soch rha hu kya socha hoga Nani ne man me,

Dekh saki bss ek gao hi apne is jeevan main,

Nani chitak gai mujhse jase patte sakho se,

Puch padi kitni duniya dekhi nanhi aankho se?

Main fir bohot akad kar bola- Sahar Sahar ghooma hu, kisam kisam ki cheeje khai, Pahar pahar jhooma hu, Lahar samandar jungle dekhe, ambar ko rato main, Parwat dekhe jharne dekhe baraf giri hatho main, 
Maine patthar pr utre insano ke nakashi dekhi, Kanha ka vrindavan dekha, Maha dev ki kashi dekhi, Nani tumne dharti se aakash nihara hai jeebhar,

Nani tumne dharti se aakash nihara hai jeebhar, maine dharti ko dharti ko dekha hai us ambar ke upar chadhkar,

Nani ke chahre ke upr vahi ek bhao abhi tak tahra tha,

Par unki aankho me kuch to tha jo bohot hi gahra tha,

Nani bahar dekh rhi thi or kha dheere se

Patthar ki tulna karta hai beta tu heere se,

Accha hai accha lagta hai acchi cheeze dekho tum, Par jo dikhti hai duniya utni hai ye na socho tum

Duniya badal Rahi hai beta, aankho ne badlao jiya hai,

Muthi se yu ret fisalte jane ka vo bhao jiya hai,

Mat kar tulna apni pariyatan ka mere anubhav se,

Thak gai hai aankhe duniya ke duniyavi vaibhav se,

Yad hai tujhko apne aangan main goriya rahti thi,

Dinbhar chahak chahak ke jane kya hi humse kahti thi,

Aavo hava me jane kya hi hua achanak, Kisi ke ghar ab nahi dikhti goriya.

Tujhe pata hai pahle mosam 6 hote the,

Garmi, Varsha, Shishu, Sarad, Hemant, Vasant

Kabhi kabhi garmi me barish hoti hai kabhi kabhi sukha padta barsato main,

Dekh na pahle Krishna ji ke janamdin pr kitni barish hoti thi un rato main,

Pahle to chat se hi Sardi padti thi,

Ab to ek do hafte hi Sardi padti hai,

Maine dekha be-mosam barsato main khadi fasal barbad hoti hai rato main,

Badti garmi dharti khatir kahar ho gai,

maine dekha Nadi simat ke nahar ho gai.

Nadhiya dur hui to utsav khota hai,

Ab to beta chat pr hi chatt hota hai,

Ab tak bahar dekh rhi thi, kissa kahti jati thi,

Pahli bar palat kr Nani ne mera chahra dekha,

Nani ne meri aankho me khof utarte bhi dekha,

gaalo par thapki dekar fir boli

Ke dekho beta- “Aisa nahi ke sabkuch aise swarg-swarg sa tha pahle”

Aisa nahi ke sabkuch aise swarg-swarg sa tha pahle,

Or tumhari pidhi ne hi nark macha ke rakha ho,

Pahle valo me beta kuch kam tamasha nahi kiya,

Pabandi sabpar Dale khud aash kri aayegi ki,

Teri pidhi ne hi aandolan ka bida utha rakha,

Kasam btaou bohot umeed hai teri pidhi se mujhko,

Mujhe pata hai Jan lagat hai sabpar

Isi lie tu sabse pyara hai mujhko,

Nani ne dono gale puchkare thi,

Main bhi pyar se unse lipat gya,

Soch ha hu ke Maine kitna kuch dekha hai abtak,

Soch rha hu ke ab Tak kitna dekha Jana baki hai,

Meri aankho ne jagha ko badal badal kr dekha hai,

Nani ki aankho ne ek hi jagha ko badalte dekh hai. 

By: Shubham Shyam 


******** ********* ******** ******** 

STAY CONNECTED WITH YOUR LOVED ONES,
YES!!YOU GOT IT RIGHT, WITH US ;)

For Any Query or Suggestion, Please Contact us : famoushayari2022@gmail.com
            preritjaingodha@gmail.com

Post a Comment

0 Comments